Sunday 3 March 2013

Aap bilkul sahi disha mein chal rahe hai...

Jis din log apni zindagi se zyada aapki zindagi mein kya chal raha hai, usme dilchasbi (interest) lene lag jaye. Tab samajh jao ki - 

1.) Wo apne dukho se zyada, aapki khushi se pareshan hai.

2.) Aap unse kahi aage ho, aur ye unse bardash nahi ho raha.

3.) Aur aakhiri, Ki aap bilkul sahi disha mein chal rahe ho.

Wednesday 20 February 2013

"GYANOMAHOTSAV " - Jaipur

Jaipur literature fest jab pehli baar organize kiya gaya hoga tab kisne socha hoga ki ye es tarah se logo ko pasand ayega ki log apne office se leave lekar, students college miss kar ke esme shamil hone ayenge. Hazaron ki bheed aur sabke chehre par vishwaas ki aaj wo kuch lekar hi jayenge . Ha Gyan, Vichaar, Sabak-Sikh aur dher sara Aatm-Vishwaas jo yaha aaker milta hai . Chota baccha ho ya bada, Writer ho ya Player, Singer ho ya phir Journalist sab yaha aate hai vichaar ki dharaein behti hai . Yaha ka aura hi esa ho jata hai ki josh aur junoon badh jata hai , Sapne bunane lagte hai aur unke pankh lagne lag jate hai . Mari huyi icchayein jaag jati hai. Esa lagta hai ki bas ab kuch karna hai . Kuch kar ke dikhana hai. Yaha bade-2 Writer,Poets,Singer,Actors,Journalist aate hai jo yaha aaye logo ko bahut kuch de jate hai, aur thoda bahut le bhi jate hai . Unhe nahi pata ki unke kahe gaye shabd kisi ki zindagi bana sakte hai . Ye motivation hi to hai jo aaj logo ko chahiye. Yaha The Dalai Lama, Mahasweta Devi, Gulzar Saheb, Javed Akhtar, Shashi Tharoor, William Dalrymple, Opra Winfrey jaise diggaj aur mahagyani yaha aate hai aur apne vichaar, apne anubhav logo tak pahuchate hai . 
Literature festival ki khaas baat yeh hai ki ese bahut hi sundar tarike se socha gaya hai, jaha art,culture,media,sports,politics,cinema aur literature ko piroya gaya hai . Sahi mayno mein yeh "GYANOMAHOTSAV " hai. Kaun es gyan ke sagar mein dubki lagana nahi chahega. 
Dekha jaye to hume us kaam ki shuruat kar deni chahiye, jo hum karna chahte hai, safalta to peeche-peeche aa hi jati hai. Aaj Jaipur Literature Festival ki shuruat hi na hoti to kya wo aaj es mukaam tak pahuchta ?



VISHWAAS kabhi kabhi Vish( jehar) ban jata hai.

Kuch bhi kar Ye-bandhe, par kisi par vishwaas na kar.
Na kar aitbaar, kisi ajnabi par.
Wo kaun hai ? Kya chahta hai ? 
Tu samajh nahi payega. 
Jise dost samjhega tu, wahi tujhe satayega.
Bahenge tere aansu aur use maza ayega.

Teri hasi se use jalan hogi,
teri tarakki par wo udaas nazar ayega.
Wo baaton hi baaton mein tujhe fasayega,
Tujhe har waqt galat raston par chalne ke liye uksayega.

Duniya badi zalim hai,
Mat kar vishwaas kisi ajnabi par,
Wo teri khushiyo ko kha jayega.
Bas khud par vishwaas kar,
Na koi tere sath aaya tha, aur na hi koi tere sath jayega.

Monday 18 February 2013

Waqt badal jayega, Ye Waqt badal jayega.

Waqt badal jayega, Ye waqt badal jayega.
Kala- andhera, Ujalo mein badal jayega . Ye waqt badal jayega.
Sabra kar kuch aur sabra kar.
Ye waqt to yuhin nikal jayega.
Hosla na haar, mushkilen badh jayegi agar tu dagmagayegi.
Kaun tera hai, kaun lootera hai ? Ye bhi samajh jayegi . 
Sabra kar kuch aur sabra kar.

Tu aage badhne jayegi to, tujhe toka jayega- roka jayega.
Tu ladki hai ye bol kar tujhe kosa jayega.
Akele hi tujhe ladna hoga, tere sath mein jo ayega, uska bhi jeena dushvaar ho jayega.
Ye bheed hai bhediyo ki ye tujhe na samajh ayega.
Bas yaad rakh tera bhi din ayega.
jab Ye - Waqt badal jayega, Ye waqt badal jayega.


Saturday 16 February 2013

Badal gayi hai Duniya, aur badal gaye hai Hum .

Kisi ne sach kaha hai " Waqt hamesha ek sa nahi rehta ". Jab insaan khud apni kisi ek baat par nahi reh sakta to time bhi to badalta rehta hai. Agar hum theek se soche to hume mehsoos hoga ki time nahi badal raha hai, hum badal rahe hai. . . Hum badal rahe hai un situations ke sath. Pehle mobile nahi hua karte thay, tab bhi life to chalti hi thi. Aur aaj mobile ko apna liya hai humne. Pehle life itni simple and easy going nahi hua karti thi. Itni sari facilities nahi hua karti thi, aaj kitchen, modular kitchen mein transform ho gaya hai. Landline phone ki jagah tablets and i phones ne le li hai. Letter ki jagah e- mail . Newspaper ki jagah e paper.
Ghar ki jagah flats and villas ne le li hai. Aaj friends se baat karni ho ya milna ho to sab ek hi jagah par mil jate hai like : - facebook, twitter and other social networking sites. Pehle kuch likhna ho to log diary mein likha karte thay, aur aaj blog ne diary ki jagah le li hai, jaise ki abhi main kar rahi hoon. 
Pehle market jane ke liye kayi kilometer jakar khareed dari karni padti thi sabzi lana , ghar ka raashan lana. Alag- alag market jana padta tha, aur ab malls mein sab kuch milta hai ke sath sab kuch bikta hai jaise offers bhi start ho gaye hai. Pehle kabadi wala galiyo mein gum-gum kar raddi de do -raddi de do pukara karta tha aur aaj aap ek miss call karo aur wo khud aapke ghar raddi lene aa jayega. Technology mein bhi kayi badlao aaye hai jaise pehle computer aaye phir log laptop ki aur badhe aur ab enki jagah tablet ne le li hai . Pehle radio hua karta tha, phir logo ne tap recorder lana shuru kiya uske baad Cd player, home theater, i pod  na jane kitna badlao aa gaye. Aajkal cassette's to jaise gayab hi ho chuki hai. 
Agar hum baat kare shadi ki to usme bhi bahut zyada badlao aa gaye hai. Pehle dulha - dulhan milte nahi thay, sab kuch parents ki marzi se hota tha. Aur aaj shadi se pehle ladka-ladki milte hai, baat karte hai, 1-2 saal ek dusre ko samajhte hai aur phir shadi karte hai. Par afsoos itna janane aur samajhne ke baad bhi itne divorce's ho rahe hai, mis understanding badh rahi hai. Wo vishwaas jo hamare mummy- papa ke beech hai, wo nahi hai.
Itne salo mein kitna kuch badal gaya chahe wo technology ho ya hum. Hum badal gaye un situations ke according, un society, friends, family, environment,office ke according . Aaj badle hai kuch karne ke liye, aage badhne ke liye . Par kise wo purani baatein aur yaadein nahi acchi lagti. Sabko simple life chahiye. Jaha koi tension na ho, ghar walo ka sath aur wo sukoon bhara ehsaas ho. Sabko chahiye wahi sadharan sa khana, apna parivaar, chen ki neend, sacche dost, acchi job. Par aaj ki bhagam bhag mein kisi ko aaram nahi hai sab bhag rahe hai, na jane kaha ? unhe bhi nahi pata ki kaha jana hai. Bas duniya bhaga rahi hai aur wo bhag rahe hai. 
Aaj sab kuch badal gaya hai. . kuch bhi pehle jaisa nahi hai. Na dil se khushi hoti hai, na chehre par sacchi hassi. Aankho mein jhothe aansu hai kahin, to baaton mein jhoota dilasa. Samajh nahi aata ki sala " kaun apna hai, aur kaun paraya". Bas itna pata hai -"Badal gayi hai duniya, aur badal gaye hai Hum ."

Saturday 9 February 2013

Follow Your Heart But With Brain

God has gifted human beings with two precious elements i.e HEART and BRAIN. Today people work with the brain because it is the need of today's world. Emotions, sentiments are almost dead. People know, if they follow their heart then someone will snatch his or her opportunity. Nowadays it is important to work with the brain to achieve success and new heights.
But in my point of view one should follow one's heart but with brain. Then one can enjoy the true success. Because one will be successful only when he is happy by heart.

Mann Ke Sapne Hazaar

Ye "Mann" hai jo dolta rehta hai. Kabhi idhar-kabhi udhar. Manta hi nahi hai. Mera mann to mujhe poorie duniya ghumata rehta hai. Kuch kaam nahi karo to ye mann udaas ho jata hai, aur phir kuch karne lago to ye phir se kahi bhatak jata hai. 
Ye chup-chaap nahi bethta, Ul-julul karta rehta hai. Raat mein bhi ese chain nahi hai, thakta hi nahi, aur mujhe bhi nahi sone deta. Na jane kitne sapne hai es mann ke. Ye mann hi to hai jo mujhe hosla deta hai, himmat deta hai, aage badhne ke naye-naye tareeke sochta hai. Kabhi-kabhi haalat se majboor hokar ye bhi udaas ho jata hai, par ye marta nahi hai ladta hai, phir se apne aap ko sambhalta hai aur ek naya sapna dekhne lagta hai nayi raho ka, manzilon ka aur nayi uchaiyeon ka..