Friday, 1 February 2013

Sabki zindagi mein koi na koi rakshas aata hai....

Kaha jata hai ki - " Kabhi kisi ka bura mat karo" agar tum esa karte ho to ek na ek din tumhare sath bhi bura hoga. Sabko apne karmo ki saza yahi kaat kar jani hoti hai. . But ye jaroori nahi ki agar tum kisi ka bura nahi karte ho, to samne wala tumhara bura nahi karega. Tab tum kya karoge ? Uska jawab bhi maine nikal liya, ki agar esa koi karta hai to us par gussa hone ki bajaye use samjhaya jaye, ki esa kyu kar rahe ho ? Lekin jab koi rakshas ban jaye aur tumhare peeche padh jaye, tumhara jeena dushwar kar de. Bina matlab tumhe rulaye, daraye,dhamkaye. Aur tum sehte raho, ye to khud par atyachar karna hai . Kab tak tum kisi se vinamrata se baat karoge ? Kab tab kisi ko samjhaoge. Kab tak khud yun hi ghut-ghut kar jeete rahoge? Ek din to tum bhi thak jaoge .

Sabki zindagi mein koi na koi rakshas hota hai, hum chahe ya na chahe wo hamari zindagi mein aata hai aur hamari zindagi ko uthal-puthal kar deta hai . To kyu hum us rakshas ka bura na soche ? kyu hum usse nafrat na kare? Kyu? Hum insaniyat dikhate rahe, aur wo hewaniyat . 

Hume us rakshas ko khatm kar dena chahiye. Agar ese rakshas ka bura karne se tumhara bura hota hai to ho, kum se kum tum sukoon se mar sakoge . Aur Bhagwan bhi tumhara bura nahi karega kyuki kisi rakshas ko marne se paap nahi lagta . 



No comments:

Post a Comment